Thursday, August 27, 2009

Daastan-e-Nawaz

Nawaz Sharif ke naam ek Paigham

Model Town ke aage Jahan aur bhi hain
Wazeer-e-Azam banu tou khan eke ilawa kaam aur bhi hain

Hamein pata hai ke Motorway kyon Banwaya tha
Sunday ke Sunday Phajje ne jo bullaya tha

Aankh kholi to sar par bal the itne ; Sazishi Mushi thaa
Thaa mein jab ganja kasam se tou bahut kamaya tha

Rota nahin hoon, Darta nahin hoon . Manoo ke shaer hoo mein,
Magar yad hai ke Attock jail mein; khana ne de ke mushi ne bahut rulaya tha

Mera ek chota bhai bhi hai , karta kabhi kabhi shaieri who
Yaad hai ek din , ek jalse mein sab ko adha ghante rulaya tha

Bahut masoom hoon main, kar ke sub kuch mukarta hoon
Phajje ke kasam har daur mein kisi na kisi ne mujhey phasaya tha